Sunday, October 19, 2008

Is kadar na yaaro se baat kia kijiye

Is kadar na yaaro se baat kia kijiye,
Raz ki bato ko isharo se samja dijiye,
Lahero se khelna sauk hai samandar ka,
Dard kya hota hai kinaro se na puchha kijiye.

Gam ke sagar me kabhi dub na jana

Gam ke sagar me kabhi dub na jana,
Raaho pe chal ke manzil na pao to tut na jana,
Zindagi me agar apno ki kami mehsus ho to,
Hum zinda hai ye bhul na jana.

Ek lamha jo baar baar satata hai,

Ek lamha jo baar baar satata hai,
Na jane ye dil kya chahta hai,
Kash wo hote hamari nazro ke samne,
Par na jane kyu ye kash kash hi reh jata hai

Dil ki aawaz ko izhar kehte hai

Dil ki aawaz ko izhar kehte hai,
Jhuki nigaho ko ikraar kehte hai,
Sirf Jatane ka naam ishq nahi,
Kisi ki yaado me jeene ko bhi pyar kahete hai.