Saturday, July 25, 2009

Wo roye !!

Nikle unki aankho se aansu hum use rok na sake,
Hamari wafa-e-imtihaan to dekho ...
Wo roye humse lipat kar kisi aur k lie aur humn mana bhi na kar sake !!!

Bhai bhai

Jab bhi unke ghar se gujarta hu,
hamari aankhen ek dastak de hi deti hai,
Dukh ye nahi ki wo darwaha bandh kar deti hai,
Khushi ye hai ki wo hume pahchan to leti hai ..

Is pal ko jee le mere dost

Ek din jindagi aise mukaam pe pahuch jaegi...
dosti to sirf yaadon me rah jaegi..
har cup coffee yaad doston ki dilayegi...
aur haste haste fir aankhen nam ho jaegi..
Office ke chamber me classroom nazar aaegi...
par chahne per bhi proxy nahi lag paegi..
Paisa to bahot hoga per usko lootane ki wajah hi kho jaegi..
Jee le khulke is pal ko mere dost kyuki jindagi ye palo ko
fir se nahi dohraegi ..

Aapki kasam

Kisi ko kisi ki isharoon ne loota,
Kisi ko kashti k kinaroon ne loota,
Aap to darte ho kasam khane se,
Hume to aapki kasam de kar hazaroon ne loota.

Kasoor tha ...

Mere khwabho me aana unka kasoor tha,
Unse dil lagana hamara kasoor tha,
Woh aaye the jindagi me pal bhar k lie,
Unhe jindagi samaj lena hamara kasoor tha.

Wo aaj tak manane na aaye

Muddat hui wo rulane na aaye,
In jalti hui aankhon ko bujane na aaye,
Kehte the saath jiyenge saath marenge,
Hum ruthe the ek roz wo aaj tak manane na aaye.

Bin hamare koi na koi kami to jarur rahegi

Har nami me kuch kami to rahegi,
Aankhen thodi shabnami to rahegi,
Zindagi ko aap kitna bhi saawariye,
Bin hamare koi na koi kami to jarur rahegi

Mere pyaar ki

Mere pyaar ki wo hadd puchte hai,
Dil me kitni jagah hai ye puchte hai,
Chahte hai hum unhi ko kyu itna
Iski bhi wo wajah poochte hai ....

Koi bahut pyari si baat

Kuch pal ki khushi aapke sath me thi,
Aisi koi lakir mere haath me thi,
Dur rehkar bhi aapko yaad karte hai hum,
Koi bahut pyari si baat us mulqat me thi...

Wednesday, July 22, 2009

Na badlai ...

Divso badlaya, raato badlayi;
ek ek karta badhani najar badlayi.
Malya ketlay moka badlava na,
pan tamne yaad karvani aadat kadi ‘na’ badlayi.

malta raishu

Door rahishu to pan dil ma rahishu,
Samay na sathvare fari malta rahisu,
Aam to hu chandra nathi,Chatay karso yad,
to AMAS ma pan malta rahisu.

Aaj To Hum Maut Ki

Aaj To Hum Maut Ki Dua Kar Ke Roye Hain
Dobara Aaj Khuda Se Gila Kar Ke Roye Hain
Kyon Na Likh Saka Tu Us Ko Taqdeer Mein Meri
Yeh Ek Khayal Soch Kar Phir Hum Roye Hain.

Tuesday, April 21, 2009

apko bhul jaye

apko bhul jaye woh nazar kaha se laye
kisis aur ko chahe woh jigar kaha se laye
reh nahi sakte apke bina, uuf bhi na nikle woh zehar kaha se laye..

Friday, March 27, 2009

paa nahi sakte

Jisko paa nahi sakte unki arzoo nahi karte,
wafai pe hum bewafai nahi karte,
thi kuch khass us bewafa mein,
warna hum unko itna pyar nahi karte

Bahut karawaya tumne intezaar

Bahut karawaya tumne intezaar,
kyu pyaar ka le rahe ho tum imtahan,
Dard yoon na badhaya karo,
hamme yuh rulaya na karo,
Chaha hai thumhe jaan se zayada,
Rooth ke yoon na jaaya karo

Thursday, March 19, 2009

Hum Maut Ki Dua Kar Ke Roye Hain

Aaj To Hum Maut Ki Dua Kar Ke Roye Hain,
Dobara Aaj Khuda Se Gila Kar Ke Roye Hain,
Kyon Na Likh Saka Tu Us Ko Taqdeer Mein Meri
Yeh ek Khayal Soch Kar Phir Hum Roye Hain.

Wednesday, March 18, 2009

Tumse dur hoke reh bhi nai sakte...

Na tujhe chhod sakte hain,tere ho bhi nahin sakte,
Ye kaisi bebasi hai aaj hum ro bhi nahin sakte.
Ye kaisa dard hai,pal pal humein tadpae rakhta hai,
Tumhari yaad aati hai to phir so bhi nahin sakte.
Chuppa sakte hain aur na dikha sakte hain logon ko,
Kuch aise daag hain dil par jo hum dho bhi nahin sakte.
Kaha to tha chhod denge tum ko,phir ruk gaye lekin,
Tume paa to nahin sakte magar chhod bhi nahin sakte.
Hamara ek hona bhi,nahin mumkin raha ab to,
Jiye kaise ke tum se dur ho ke reh bhi nahin sakte..

Apna Jise Samja...

apna jisse samjha jab usne ki ruswaai,
saath nibhane mere chali aai meri tanhaai,
puuchta hu roz uss khuda se ye zindagi muje kaha le aai,
jab haste hai sab mere ashkoon par puuchta hu kaha gai ab uski khudaai...

Husn Agar Bewafa Na Hota

Husn Agar Bewafa Na Hota,
Ashiqo Ka Is Duniya Me Naam Na Hota,
Kat Gaye Hath Un Mazduro Ke,
Warna Har Ek Raste Pe TAJ MAHEL bana hota

Tuesday, March 17, 2009

Dard Denewale Bahut Milte Hai

Dard Denewale Bahut Milte Hai
Magar Dard Lene Wale Chand Milte Hai,
Nazuk Waqt Me Hume Yaad Rakhna,
Kyuki Zindagi Main Chahne Wale Kam Milte Hai

Tuesday, January 6, 2009

Khuda ne kaha apne gamo ki yu numais na kar

Khuda ne kaha apne gamo ki yu numais na kar,

Apne nasib ki yu aazmais na kar,

Jo Tera hai; tere dar pe khud aaega,

Har roz use pane ki khwahis na kar